Rafi - Itni Nazuk Na Bano - Vaasna 1968
Itni Naazuk Na Bano, Haaye, Itni Naazuk Na Bano,
Had Ke Andar Ho Nazaakat, Tho Ada Hoti Hai,
Had Se Bada Jaaye Tho, Aap Apni Sazaa Hoti Hai..
Itni Naazuk Na Bano, Haaye, Itni Naazuk Na Bano..
Jism Kaa Bojh Utaaye Nahin, Uttha Thum Se,
Zindagani Ka Kadaa Bojh, Sahogi Kaise,
Thum Jo Halki Si, Hawavon Mein Lachak Jaati Ho,
Tez Jhonkon Ke Thapedon, Mein Rahogi Kaise,
Itni Naazuk Na Bano, Haaye, Itni Naazuk Na Bano..
Yeh Na Samjho Ke Har Ik Raah Mein, Kaliyan Hongi,
Raah Chalni Hai Tho, Kaanton Se Bhi Chalna Hoga,
Yeh Naya Daur Hai, Is Daur Mein Jeene Ke Liye,
Husn Ko Husn Ka, Andaaz Badalna Hoga,
Itni Naazuk Na Bano, Haaye, Itni Naazuk Na Bano..
Koi Rukhtha Nahin, Tehere Huve Raahi Ke Liye,
Jo Bhi Dekega, Voh Katharaake Guzar Jaayega,
Hum Agar Waqt Ke, Humraah Na Chalne Paaye,
Waqt Hum Dono Ko, Thukrake Guzar Jaayega,
Itni Naazuk Na Bano, Haaye, Itni Naazuk Na Bano..
Itni Naazuk Na Bano, Haaye, Itni Naazuk Na Bano,
Had Ke Andar Ho Nazaakat, Tho Ada Hoti Hai,
Had Se Bada Jaaye Tho, Aap Apni Sazaa Hoti Hai..
Itni Naazuk Na Bano, Haaye, Itni Naazuk Na Bano
No comments:
Post a Comment